kisī bhī shahr meñ jaao kahīñ qayām karo
koī fazā koī manzar kisī ke naam karo
duā salām zarūrī hai shahr vāloñ se
magar akele meñ apnā bhī ehtirām karo
hamesha amn nahīñ hotā fāḳhtāoñ meñ
kabhī-kabhār uqāboñ se bhī kalām karo
har ek bastī badaltī hai rañg-rūp ka.ī
jahāñ bhī sub.h guzāro udhar hī shaam karo
ḳhudā ke hukm se shaitān bhī hai aadam bhī
vo apnā kaam karegā tum apnā kaam karo