dhuup meñ niklo ghaTāoñ meñ nahā kar dekho
zindagī kyā hai kitāboñ ko haTā kar dekho
sirf āñkhoñ se hī duniyā nahīñ dekhī jaatī
dil kī dhaḌkan ko bhī bīnā.ī banā kar dekho
pattharoñ meñ bhī zabāñ hotī hai dil hote haiñ
apne ghar ke dar-o-dīvār sajā kar dekho
vo sitāra hai chamakne do yūñhī āñkhoñ meñ
kyā zarūrī hai use jism banā kar dekho
fāsla nazroñ kā dhoka bhī to ho saktā hai
vo mile yā na mile haath baḌhā kar dekho