duā salām meñ lipTī zarūrateñ māñge
qadam qadam pe ye bastī tijārateñ māñge
kahāñ har ek ko aatī hai raas barbādī
na.e safar kī masāfat zihānateñ māñge
chamakte kapḌe mahaktā ḳhulūs puḳhta makāñ
har ek bazm meñ izzat hifāzateñ māñge
koī dhamākā koī chīḳh koī hañgāma
lahū badan kā lahū kī shabāhateñ māñge
koī na ho mire tire alāva bastī meñ
kabhī kabhī yahī jazba riqābateñ māñge