har taraf har jagah be-shumār aadmī
phir bhī tanhā.iyoñ kā shikār aadmī
sub.h se shaam tak bojh Dhotā huā
apnī hī laash kā ḳhud mazār aadmī
har taraf bhāgte dauḌte rāste
har taraf aadmī kā shikār aadmī
roz jiitā huā roz martā huā
har na.e din nayā intizār aadmī
ghar kī dahlīz se gehūñ ke khet tak
chaltā phirtā koī kārobār aadmī
zindagī kā muqaddar safar-dar-safar
āḳhirī saañs tak be-qarār aadmī