jab se qarīb ho ke chale zindagī se ham
ḳhud apne aa.ine ko lage ajnabī se ham
kuchh duur chal ke rāste sab ek se lage
milne ga.e kisī se mil aa.e kisī se ham
achchhe bure ke farq ne bastī ujaaḌ dī
majbūr ho ke milne lage har kisī se ham
shā.ista mahfiloñ kī fazāoñ meñ zahr thā
zinda bache haiñ zehn kī āvārgī se ham
achchhī bhalī thī duniyā guzāre ke vāste
uljhe hue haiñ apnī hī ḳhud-āgahī se ham
jañgal meñ duur tak koī dushman na koī dost
mānūs ho chale haiñ magar bamba.ī se ham