us ke dushman haiñ bahut aadmī achchhā hogā
vo bhī merī hī tarah shahr meñ tanhā hogā
itnā sach bol ki hoñToñ kā tabassum na bujhe
raushnī ḳhatm na kar aage añdherā hogā
pyaas jis nahr se Takrā.ī vo banjar niklī
jis ko pīchhe kahīñ chhoḌ aa.e vo dariyā hogā
mire baare meñ koī raa.e to hogī us kī
us ne mujh ko bhī kabhī toḌ ke dekhā hogā
ek mahfil meñ ka.ī mahfileñ hotī haiñ sharīk
jis ko bhī paas se dekhoge akelā hogā