har chamaktī qurbat meñ ek fāsla dekhūñ
kaun aane vaalā hai kis kā rāsta dekhūñ
shaam kā dhuñdlakā hai yā udaas mamtā hai
bhūlī-bisrī yādoñ se phūTtī duā dekhūñ
masjidoñ meñ sajdoñ kī mish.aleñ huiiñ raushan
be-charāġh galiyoñ meñ kheltā ḳhudā dekhūñ
lahr lahr paanī meñ Dūbtā huā sūraj
kaun mujh meñ dar aayā uTh ke aa.inā dekhūñ
lahlahāte mausam meñ terā zikr-e-shādābī
shāḳh shāḳh par tere naam ko harā dekhūñ