Thahre jo kahīñ aañkh tamāshā nazar aa.e
sūraj meñ dhuāñ chāñd meñ sahrā nazar aa.e
raftār se tābinda umīdoñ ke jharoke
Thahrūñ to har ik samt añdherā nazar aa.e
sāñchoñ meñ Dhale qahqahe sochī huī bāteñ
har shaḳhs ke kāñdhoñ pe janāza nazar aa.e
har rāhguzar rāsta bhūlā huā bālak
har haath meñ miTTī kā khilaunā nazar aa.e
khoī haiñ abhī maiñ ke dhuñdlakoñ meñ nigāheñ
haT jaa.e ye dīvār to duniyā nazar aa.e
jis se bhī mileñ jhuk ke mileñ hañs ke hoñ ruḳhsat
aḳhlāq bhī is shahar meñ pesha nazar aa.e