na jaane kaun sā manzar nazar meñ rahtā hai
tamām umr musāfir safar meñ rahtā hai
laḌā.ī dekhe hue dushmanoñ se mumkin hai
magar vo ḳhauf jo dīvār-o-dar meñ rahtā hai
ḳhudā to mālik-o-muḳhtār hai kahīñ bhī rahe
kabhī bashar meñ kabhī jānvar meñ rahtā hai
ajiib daur hai ye tai-shuda nahīñ kuchh bhī
na chāñd shab meñ na sūraj sahar meñ rahtā hai
jo milnā chāho to mujh se milo kahīñ bāhar
vo koī aur hai jo mere ghar meñ rahtā hai
badalnā chāho to duniyā badal bhī saktī hai
ajab futūr sā har vaqt sar meñ rahtā hai