Nida Fazli

har ek ghar mein diya bhi jale anaj bhi ho

Nida Fazli

Delhi, India

1938-2016
har ek ghar meñ diyā bhī jale anaaj bhī ho
agar na ho kahīñ aisā to ehtijāj bhī ho
rahegī va.adoñ meñ kab tak asiir ḳhush-hālī
har ek baar hī kal kyuuñ kabhī to aaj bhī ho
na karte shor-sharāba to aur kyā karte
tumhāre shahr meñ kuchh aur kām-kāj bhī ho
hukūmatoñ ko badalnā to kuchh muhāl nahīñ
hukūmateñ jo badaltā hai vo samāj bhī ho
badal rahe haiñ ka.ī aadmī darindoñ meñ
maraz purānā hai is kā nayā ilaaj bhī ho
akele ġham se na.ī shā.irī nahīñ hotī
zabān-e-'mīr' meñ 'ġhālib' kā imtizāj bhī ho
Top Urdushayar.com