chāhateñ mausamī parinde haiñ rut badalte hī lauT jaate haiñ
ghoñsle ban ke TuuT jaate haiñ daaġh shāḳhoñ pe chahchahāte haiñ
aane vaale bayāz meñ apnī jaane vāloñ ke naam likhte haiñ
sab hī auroñ ke ḳhālī kamroñ ko apnī apnī tarah sajāte haiñ
maut ik vāhima hai nazroñ kā saath chhuTtā kahāñ hai apnoñ kā
jo zamīñ par nazar nahīñ aate chāñd tāroñ meñ jagmagāte haiñ
ye musavvir ajiib hote haiñ aap apne habīb hote haiñ
dūsroñ kī shabāhateñ le kar apnī tasvīr hī banāte haiñ
yuuñ hī chaltā hai kārobār-e-jahāñ hai zarūrī har ek chiiz yahāñ
jin daraḳhtoñ meñ phal nahīñ aate vo jalāne ke kaam aate haiñ