ab ḳhushī hai na koī dard rulāne vaalā
ham ne apnā liyā har rañg zamāne vaalā
ek be-chehra sī ummīd hai chehra chehra
jis taraf dekhiye aane ko hai aane vaalā
us ko ruḳhsat to kiyā thā mujhe ma.alūm na thā
saarā ghar le gayā ghar chhoḌ ke jaane vaalā
duur ke chāñd ko DhūñDo na kisī āñchal meñ
ye ujālā nahīñ āñgan meñ samāne vaalā
ik musāfir ke safar jaisī hai sab kī duniyā
koī jaldī meñ koī der se jaane vaalā