Nida Fazli

koi nahin hai aane wala phir bhi koi aane ko hai

Nida Fazli

Delhi, India

1938-2016
koī nahīñ hai aane vaalā phir bhī koī aane ko hai
aate jaate raat aur din meñ kuchh to jī bahlāne ko hai
chalo yahāñ se apnī apnī shāḳhoñ pe lauT aa.e parinde
bhūlī-bisrī yādoñ ko phir tanhā.ī dohrāne ko hai
do darvāze ek havelī aamad ruḳhsat ek pahelī
koī jā kar aane ko hai koī aa kar jaane ko hai
din bhar kā hañgāma saarā shaam Dhale phir bistar pyārā
merā rasta ho yā terā har rasta ghar jaane ko hai
ābādī kā shor-sharāba chhoḌ ke DhūñDo koī ḳharāba
tanhā.ī phir sham.a jalā kar koī harf sunāne ko hai
Top Urdushayar.com