Nida Fazli

nasha nashe ke liye hai azab mein shamil

Nida Fazli

Delhi, India

1938-2016
nasha nashe ke liye hai azaab meñ shāmil
kisī kī yaad ko kiije sharāb meñ shāmil
har ik talāsh yahāñ fāsloñ se raushan hai
haqīqateñ kahāñ hotī haiñ ḳhvāb meñ shāmil
vo tum nahīñ ho to phir kaun thā vo tum jaisā
kisī kā zikr to thā har kitāb meñ shāmil
hameñ bhī shauq hai apnī taraf se jiine kā
hamārā naam bhī kiije itaab meñ shāmil
akele kamre meñ gul-dān bolte kab haiñ
tumhāre hoñT haiñ shāyad gulāb meñ shāmil
zamīn roz kahāñ mo.ajiza dikhātī hai
mirī nigāh bhī hogī naqāb meñ shāmil
usī kā naam hai naġhma usī kā naam ġhazal
vo ik sukūn jo hai iztirāb meñ shāmil
Top Urdushayar.com