āsān har ik baat ko dushvār karo tum
iqrār jahāñ maiñ karūñ inkār karo tum
jab beach bhañvar ziist kī kashtī kabhī Duube
mallāh bano aur mujhe patvār karo tum
dāman pe mohabbat kā koī daaġh lagā kar
phir pesh-e-zamāna mujhe lāchār karo tum
zanjīr-e-mohabbat yūñhī pairoñ meñ sajā kar
vahshat kā tamāshā mirī har baar karo tum
har baat pe Thahrā ke mujhe morid-e-ilzām
īsār-o-vafā ko mire be-kār karo tum
ye zo.am-e-ḳhudī hai ki tamāshā-e-ḳhudī hai
sar bech ke nāmūs ko dastār karo tum