Ashhad Bilal Ibn-e-chaman

humne dekha hai itne khanDar KHwab mein

Ashhad Bilal Ibn-e-chaman

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1980
ham ne dekhā hai itne khañDar ḳhvāb meñ
ab to lagtā nahīñ ham ko Dar ḳhvāb meñ
apnī barsoñ se hai ik vahī aarzū
roz aa jaa.e hai jo nazar ḳhvāb meñ
vaqt aane pe sab ko ġhashī aa ga.ī
jo batāte the ḳhud ko niDar ḳhvāb meñ
zulm kī āñdhiyāñ baḌh ke tūfāñ huiiñ
mast duniyā hai par raat bhar ḳhvāb meñ
ishq kī ye masāfat bhī kyā ḳhuub hai
chāñd taare hue rahguzar ḳhvāb meñ
un se hotā hai har raat ahd-e-vafā
aur nibhāte haiñ ham beshtar ḳhvāb meñ
roz o shab kho ga.e haiñ na jaane kahāñ
ab to hotī hai shaam o sahar ḳhvāb meñ
jo bahut mo'tabar aa rahe haiñ nazar
un ke hote haiñ kār-e-digar ḳhvāb meñ
zindagī kī haqīqat ajab ho ga.ī
aaj kal ho rahī hai basar ḳhvāb meñ
Top Urdushayar.com