sharmindagī-e-dil ko chhupāoge kahāñ tak
aahoñ kī rasā.ī hai zamīñ aur zamāñ tak
bin us ke hai dushvār yahāñ saañs bhī lenā
aayā hai koī dil meñ utar kar rag-e-jāñ tak
kānoñ meñ vo amrit sā utar jaatā hai ban kar
tāsīr masīhā.ī kī aa.e jo zabāñ tak
har dil meñ tamannā to har ik aañkh meñ hasrat
shaidā.ī-e-ulfat hai yahāñ pīr-o-javāñ tak
mahrūm nazar hai mirā zaḳhmoñ se bharā dil
hāsil hai hameñ daad faqat zor-e-bayāñ tak
gardan ye kisī taur kabhī bach na sakegī
aa jā.egī jis roz qazā nok-e-sināñ tak
jis roz yaqīñ aa.egā mar jā.eñge us din
rahne do mohabbat ko yūñhī vahm-o-gumāñ tak