Ashhad Bilal Ibn-e-chaman

tir-e-nazar ne aap ki ghael kiya mujhe

Ashhad Bilal Ibn-e-chaman

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1980
tīr-e-nazar ne aap kī ghā.el kiyā mujhe
phir shauq-e-intizār ne pāgal kiyā mujhe
aisī chalī havā-e-gulistāñ mirī taraf
chhū kar bū-e-gulāb ne sandal kiyā mujhe
beToñ ne mere naam kī dastār pahan lī
aur beTiyoñ ne sūrat-e-āñchal kiyā mujhe
baḌhne lagī hai dil kī tamannā-e-āshiqī
yuuñ aa ke terī yaad ne bekal kiyā mujhe
hosh-o-havās khone lagā huuñ firāq meñ
tanhā.iyoñ ne aisā muqaffal kiyā mujhe
pahle to āzmāyā atā-e-bahisht se
phir bhej kar jahān meñ afzal kiyā mujhe
har shaḳhs mo'tarif ki muhibb-e-vatan huuñ maiñ
phir adliya ne kyuuñ sar-e-maqtal kiyā mujhe
ibn-e-chaman hai terī vafāoñ pe jāñ-nisār
apnā banā ke tū ne mukammal kiyā mujhe
Top Urdushayar.com