ḳhudā ko āzmānā chāhtā huuñ
maiñ ye duniyā jalānā chāhtā huuñ
kisī shā.ir se us kī zindagī ke
maiñ saare ġham churānā chāhtā huuñ
maiñ rūh-e-'jaun' ko jannat meñ jā kar
gale kas kar lagānā chāhtā huuñ
tirī chhat par Tañge sab pairahan se
tirī ḳhushbū churānā chāhtā huuñ
faqat mad.hosh ho kar kyā maza hai
maiñ pī kar laḌkhaḌānā chāhtā huuñ
ghaḌī ke kāñToñ ko ulTā ghumā kar
samay ko maiñ bachānā chāhtā huuñ
shajar ko kaaT kar maiñ ḳhuub royā
maiñ apnā ghar banānā chāhtā huuñ
na.e hāthoñ meñ maiñ pustak thamā kar
sabhī sarhad miTānā chāhtā huuñ
use kah kar kī ab bhī hai mohabbat
maiñ us kā dil dukhānā chāhtā huuñ
kisī ma.asūm bachche kī tarah maiñ
ḳhudā ko sab batānā chāhtā huuñ