Ataurrahman Qazi

kise dimagh ki uljhe tilism-e-zat ke sath

Ataurrahman Qazi

kise dimāġh ki uljhe tilism-e-zāt ke saath
ulajh rahā huuñ abhī terī kā.enāt ke saath
maiñ dīd-bān azal se jidhar bhī dekhtā thā
shikasta jaam paḌā hai ajā.ibāt ke saath
nikal gayā thā maiñ ik roz ḳhāk-dāñ kī taraf
guzar rahī hai shab o roz hādsāt ke saath
maiñ Duub Duub gayā be-nishāñ bhañvar meñ kahīñ
ḳhalā meñ raqs-kunāñ ghūmtī praat ke saath
muhīt-e-āb meñ har saañs Doltī nayyā
ġham-e-vajūd juḌā hai ġham-e-hayāt ke saath
vahī haram hai vahī but vahī pujārī haiñ
vahī diloñ kā ta.alluq hai somnāt ke saath
bikhar bikhar gayā ik mauj-e-rā.egāñ kī tarah
kisī kī jiit kā nashsha kisī kī maat ke saath
ḳhizāñ kī shaal meñ lipTe shajar pe parvāne
numū ke giit likhe rañg-e-mumkināt ke saath
qadam qadam pe ulajhnā vo be-sabab dil kā
hai ab to roz kā ma.amūl pāñch saat ke saath
hazār talḳh sahī phir bhī ḳhush-navā hai bahut
kisī charāġh kā lahja siyāh raat ke saath
sunā hai mausam-e-be-rañgi-e-zamāñ yaksar
badal gayā hai tirī chashm-e-iltifāt ke saath
maiñ ab bhī maazī kī galiyoñ meñ jā nikaltā huuñ
paḌī hai TaaT pe taḳhtī qalam davāt ke saath
bahut dinoñ vo rahā hai isī khañDar meñ muqīm
so rakh diyā hai ye dil bhī navādirāt ke saath
ye bastiyoñ pe ajab vahshatoñ kā mausam hai
numū-pazīr huā hai taġhayyurāt ke saath
maiñ kunj-e-zāt se niklā to yuuñ huā ki 'atā'
kuchh aur phail gayā ġham bhī shash-jahāt ke saath
Top Urdushayar.com