tilsim-e-shab se bahut be-ḳhabar chale aa.e
ye kyā ki shaam Dhale yaar ghar chale aa.e
kashish kuchh aisī thī miTTī kī baas meñ ham log
qazā kā daam bichhā thā magar chale aa.e
ajab hai kyā jo mile vo hameñ dobāra bhī
ham ek ḳhvāb meñ bār-e-digar chale aa.e
ḳhirām kartī havāoñ pe tairte nashshe
chalā vo shoḳh jidhar ko udhar chale aa.e
khulī jo aañkh to vīrān thā har ik manzar
Dhalī jo raat to kyā kyā na Dar chale aa.e
vo āhaTeñ bhī kahīñ kho ga.iiñ hamesha meñ
hamārī samt bhaTakte khañDar chale aa.e
ham ahl-e-shauq ko sahrā kī vus.atoñ meñ 'atā'
asiir karne ko dīvār-o-dar chale aa.e