Naushad Ahmad Kareemi

Dhalegi raat to niklega aaftab koi

Naushad Ahmad Kareemi

Bettiah, Bihar, India

1969
Dhalegī raat to niklegā āftāb koī
ki shahr-e-ḳhvāb pe aa.egā phir azaab koī
kisī kā zikr kahāñ hai mirī kahānī meñ
na jaane kis liye itnā hai aab aab koī
baḌā hasīn sā manzar hai apnī āñkhoñ meñ
dikhā.ī detā hai paanī meñ māhtāb koī
na kaam aa sakīñ hāzir-javābiyāñ merī
mujhe bhī kar gayā pal-bhar meñ lā-javāb koī
maiñ chaah kar bhī kisī moḌ par nahīñ ruktā
dil-o-nigāh meñ rahtā hai iztirāb koī
maiñ harf harf ise paḌh rahā huuñ barsoñ se
ye sail-e-vaqt hai jaise khulī kitāb koī
ye ehtimām-e-nazāra bhī ḳhuub hai 'naushād'
dikhāne aa.ī hai duniyā mujhe bhī ḳhvāb koī
Top Urdushayar.com