Ashhad Bilal Ibn-e-chaman

dil manta nahin hai manane ke baad bhi

Ashhad Bilal Ibn-e-chaman

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1980
dil māntā nahīñ hai manāne ke ba.ad bhī
kartā hai un ko yaad bhulāne ke ba.ad bhī
paimāñ kī nazr ho ga.e chain o sukūñ, qarār
lekin nibhā nahīñ hai nibhāne ke ba.ad bhī
ik lafz yaad thā mujhe tark-e-vafā magar
bhūlā huā huuñ Thokareñ khāne ke ba.ad bhī
taskīn-e-dil nasīb nahīñ hai to kyā huā
honā yahī hai pyaar jatāne ke ba.ad bhī
bujhtī nahīñ hai tishnagī dīdār-e-yār kī
nazroñ se un ke laakh pilāne ke ba.ad bhī
ab bhī hai ham ko ahl-e-chaman bas unhīñ se pyaar
is dil ko baar baar dukhāne ke ba.ad bhī
Top Urdushayar.com