Naushad Ahmad Kareemi

nazar jo aate hain auron ko KHasta-haal bahut

Naushad Ahmad Kareemi

Bettiah, Bihar, India

1969
nazar jo aate haiñ auroñ ko ḳhasta-hāl bahut
vahī to shahr meñ haiñ sāhab-e-kamāl bahut
vo jin kī fikr-o-nazar ke haiñ dā.ere mahdūd
har ek baat pe karte haiñ vo savāl bahut
ye tīrgī-e-shab-e-vasl mujh se kahtī hai
charāġh-e-hijr ke bujhne kā hai malāl bahut
dar-e-hayāt khulegā kabhī to mere liye
isī umiid pe guzre haiñ māh-o-sāl bahut
mire zavāl meñ pinhāñ uruuj hai terā
tujhe uruuj mubārak mujhe zavāl bahut
baḌe-baḌoñ kī bhī dastār girne vaalī hai
havā-e-shahr-e-havas meñ hai ishti.āl bahut
tamām-shahr se 'naushād' dushmanī hai jise
vo shaḳhs rakhtā hai har-pal mirā ḳhayāl bahut
Top Urdushayar.com