jo nahīñ jāntā huuñ ḳhalq-e-ḳhudā pūchhtī hai
mujh se har moḌ pe ab merā patā pūchhtī hai
be-amāñ dekh ke TuuTe hue pattoñ kī tarah
le chalūñ tujh ko kidhar mujh se havā pūchhtī hai
mujh meñ vo kaun sī shai hai jo har ik pal mujh se
honā kab qaid-e-badan se hai rihā pūchhtī hai
dekh kar jis ko sabhī log haiñ ghabrā.e hue
ḳhairiyat merī vahī rāh-e-fanā pūchhtī hai
muntazir kab se mirī tishna-labī thī jis kī
vo ghaTā mujh se samundar kā pata pūchhtī hai
zarre zarre kī zabāñ par hai kahānī merī
mujh se ye duniyā mire baare meñ kyā pūchhtī hai
dasht-e-zulmat hai mujhe shahr-e-nigārāñ 'naushād'
hāl-e-dil mujh se sitāroñ kī ziyā pūchhtī hai