Naushad Ahmad Kareemi

kahan se bunte nae rose tane-bane hum

Naushad Ahmad Kareemi

Bettiah, Bihar, India

1969
kahāñ se bunte na.e roz tāne-bāne ham
nayā nayā ye zamāna hai aur purāne ham
hamārī āñkhoñ pe ġhalba hai niiñd kā ab bhī
lage hue haiñ ka.ī roz se Thikāne ham
sabhī khaḌe the vahāñ apnī dāstān liye
jahāñ jahāñ ga.e qissa koī sunāne ham
chaḌhā huā hai abhī ham pe hijratoñ kā nasha
palaT ke ā.eñge ik din kisī bahāne ham
havā ke Dar se jo apne paroñ meñ simTe haiñ
unhīñ parindoñ ko aa.e haiñ ab uḌāne ham
bahut dinoñ se to apne hisār meñ gum hai
tujhe bhī ā.eñge is qaid se chhuḌāne ham
samajh meñ kuchh nahīñ aatā ki kyā huā 'naushād'
lage haiñ in dinoñ bāteñ bahut banāne ham
Top Urdushayar.com