Naushad Ahmad Kareemi

jo azal hi se muqaffal hai wo ghar kholega

Naushad Ahmad Kareemi

Bettiah, Bihar, India

1969
jo azal hī se muqaffal hai vo ghar kholegā
aaj vo mere liye sātvāñ dar kholegā
DhūñDhtā hai jo bahar-gām na.ī raah yahāñ
vo musāfir bhī kabhī raḳht-e-safar kholegā
sabz pattoñ kī qabā kis ne hai chhīnī us se
ik-na-ik roz ye uqda to shajar kholegā
us kī qismat pe sabhī rashk to karte haiñ magar
kitne paanī meñ sadaf hai ye guhar kholegā
ek muddat se jo baiThā hai simaT kar ḳhud meñ
vo parinda bhī havā dekh ke par kholegā
mom kī tarah pighal jā.eñge patthar kitne
ek fankār jahāñ dast-e-hunar kholegā
rāz-e-hastī bhī kisī roz yahāñ par 'naushād'
dekhnā mujh sā koī ḳhāk-basar kholegā
Top Urdushayar.com