āj-kal ke shabāb dekhe haiñ
saare ḳhāna-ḳharāb dekhe haiñ
phuul jaise husain chehre bhī
haa.e sahte azaab dekhe haiñ
ishq kī raah meñ vo luTte hue
ham ne lākhoñ janāb dekhe haiñ
hai ye ulfat bhī kyā balā sāhab
is meñ jhukte navāb dekhe haiñ
ek ik pal ko yaad rakhte the
vo tumhāre hisāb dekhe haiñ
tum haTā do ye apne chehre se
ham ne kaafī naqāb dekhe haiñ
pahle mohsin the phir bane zālim
log aise itaab dekhe haiñ
jis pe mahtāb tum rahe marte
ab vo hote sarāb dekhe haiñ