jab se mire raqīb kā rasta badal gayā
tab se mire nasīb kā naqsha badal gayā
shīrīñ thā kitnā aap kā andāz-e-guftugū
do-chār sikke aate hī lahja badal gayā
kis kī zabān se mujhe dekho ḳhabar mujhe
kaise mire harīf kā chehra badal gayā
un ke badalne kā mujhe afsos kuchh nahīñ
afsos ye hai apnā hī saaya badal gayā
jab se baḌoñ kī ghar se hukūmat chalī ga.ī
jannat-numā makān kā naqsha badal gayā
rāhoñ kī ḳhaak chhāntā phirtā huuñ aaj tak
rahbar badal gayā kabhī rasta badal gayā
kahtā hai us ke jaane se kuchh bhī nahīñ huā
'mahtāb' jabki dil kā vo Dhāñcha badal gayā