Bashir Mehtaab

mana usko gila nahin mujhse

Bashir Mehtaab

Ramban, Jammu and Kashmir, India

1994
maanā us ko gila nahīñ mujh se
kuchh to hai jo kahā nahīñ mujh se
haq nahīñ dostī kā aisā koī
jo ki us ko milā nahīñ mujh se
dil hī dil meñ vo buġhz rakhtā hai
jo ba-zāhir ḳhafā nahīñ mujh se
kuchh to hogā zarūr is kā sabab
vo jo ab tak laḌā nahīñ mujh se
laakh pīchhā chhuḌānā chāhā magar
ġham huā hī judā nahīñ mujh se
kaise rah pā.egā vo mere baġhair
jo alag hī rahā nahīñ mujh se
jo ba-zāhir ḳhafā hai ai 'mahtāb'
vo ba-bātin ḳhafā nahīñ mujh se
Top Urdushayar.com