kis mastī meñ ab rahtā huuñ
ḳhud ko ḳhud meñ DhūñD rahā huuñ
duniyā meñ sab se hī judā huuñ
āḳhir maiñ kis duniyā kā huuñ
maiñ to ḳhud ko bhuul chukā huuñ
tum batlā do kaun huuñ kyā huuñ
ye bhī nahīñ hai yaad mujhe ab
kyuuñ āḳhir rotā rahtā huuñ
ik duniyā hai mere andar
us meñ hī maiñ ghuum rahā huuñ
mujh ko niiñd hai pyārī yā phir
us ko bhī maiñ hī pyārā huuñ
vo ruḳh apnā pher chuke haiñ
maiñ kis ko apnā kahtā huuñ
in lafzoñ ne manzil chhīnī
aap chaleñ maiñ abhī aatā huuñ
man to ḳhushiyāñ baañT rahā hai
maiñ qatra qatra rotā huuñ
ḳhud kā bojh hai kitnā ḳhud par
kitnā ḳhud ko jhel rahā huuñ
mujh ko tum 'mahtāb' na samjho
shāyad maiñ us kā saayā huuñ