Bashir Mehtaab

sab ki maujudgi samajhta hai

Bashir Mehtaab

Ramban, Jammu and Kashmir, India

1994
sab kī maujūdgī samajhtā hai
dil kisī kī kamī samajhtā hai
ek hī shaḳhs se maiñ vāqif huuñ
jo mujhe ajnabī samajhtā hai
go mujhe jāntā nahīñ lekin
vo mirī shā.irī samajhtā hai
vasl ke ashk hijr ke aañsū
vo namī ko namī samajhtā hai
vahī merī zabāñ se hai vāqif
jo mirī ḳhāmushī samajhtā hai
aap ke sāmne maiñ ḳhush huuñ magar
mere dukh raam hī samajhtā hai
yahī urdu zabāñ kā hai jaadū
ab mujhe har koī samajhtā hai
maiñ use baat dil kī kahtā huuñ
vo use shā.irī samajhtā hai
itnā nādān bhī nahīñ hai vo
jo tumhārī hañsī samajhtā hai
kaun 'mahtāb' ab tumhārā hai
kaun dil kī lagī samajhtā hai
Top Urdushayar.com