ruḳh tumhārā ho jidhar ham bhī udhar ho jā.eñge
tum se bichhḌeñge agar to dar-ba-dar ho jā.eñge
zindagānī ke safar meñ lutf hogā tab nasīb
ham-ḳhayāl-o-ham-navā jab ham-safar ho jā.eñge
āsmānoñ kā safar ham tai kareñge ek roz
jab hamāre hausloñ meñ bāl-o-par ho jā.eñge
sādgī yūñhī agar laade rahe to ek din
sab tumhāre apne tum se be-ḳhabar ho jā.eñge
dekhnā jis din unheñ maqsad samajh meñ aa.egā
manziloñ kī justujū meñ rahguzar ho jā.eñge
paude haiñ urdu adab ke āb-o-dāna Dāliye
aane vaale kal meñ saa.e aur samar ho jā.eñge
saaqī sāġhar kī zarūrat hī kahāñ mere liye
terī āñkhoñ ke hī pyāle pur-asar ho jā.eñge
vo na jā.eñge kabhī 'mahtāb' zulmat kī taraf
vaqt par anjām se vāqif agar ho jā.eñge