aa jaao ab to zulf pareshāñ kiye hue
ham raah par haiñ sham.a farozāñ kiye hue
māyūs qalb hai tirī aamad kā muntazir
dahlīz par nigāh ko chaspāñ kiye hue
ahd-e-vafā ko toḌ ke ham bhī haiñ muzmahil
tum bhī udhar ho chaak garebāñ kiye hue
aao to mere sahn meñ ho jaa.e raushnī
muddat guzar ga.ī hai charāġhāñ kiye hue
baiThe haiñ tishna-kām sar-e-rahguzar tamām
saaqī tirī sharāb kā armāñ kiye hue
aa jaao ki bahār hai apne shabāb par
'ibn-e-chaman' ke vasl kā sāmāñ kiye hue