sūkhe hue daraḳht ke pattoñ ko dekhnā
phir chehra-e-hatyāt ke zaḳhmoñ ko dekhnā
ḳhush-rañgī-e-hayāt kā pāoge aks tum
patthar uchhāl kar zarā lahroñ ko dekhnā
merī nazar meñ ye bhī ibādat ḳhudā kī hai
shafqat bharī nigāh se bachchoñ ko dekhnā
is vāste maiñ paas hī rakhtā huuñ aa.ina
mushkil hai apnī aañkh se jazboñ ko dekhnā
taḳhrīb-e-kā.enāt kī zinda misāl hai
sāhil pe intishār ke zaḳhmoñ ko dekhnā
jakḌeñge ek din vahī rishtoñ ke jaal meñ
ho jaa.e dhund saaf to apnoñ ko dekhnā