Hasan Nizami

rut hai aisi ki dar-o-baam na sae honge

Hasan Nizami

1967
rut hai aisī ki dar-o-bām na saa.e hoñge
log palkoñ pe hasīñ ḳhvāb sajā.e hoñge
vaqt ke saath badal jaate haiñ chehre saare
aaj apne haiñ yahī log parā.e hoñge
log isī vaj.h se pathrāv kiyā karte haiñ
aap shīshe kī dukāñ ḳhuub sajā.e hoñge
raah hamvār na āsāñ thā husūl-e-manzil
hausle ham ne bahut apne gañvā.e hoñge
yūñhī ehsās-e-nadāmt to nahīñ un ko 'hasan'
apne hāthoñ se hī ghar apnā jalā.e hoñge
Top Urdushayar.com