Hasan Nizami

tai mujhse zindagi ka kahan fasla hua

Hasan Nizami

1967
tai mujh se zindagī kā kahāñ fāsla huā
hai merā ġham ke phuul se dāman bharā huā
hariyāliyoñ ke vāste āñkheñ taras ga.iiñ
har khet meñ milā hameñ patthar ugā huā
uḌtī huī patañg ke mānind maiñ bhī huuñ
mazbūt ek Dor se lekin bañdhā huā
har samt ehtijāj kī āvāz mar ga.ī
kis ḳhāmushī ke saath ye mahshar bapā huā
is shahr ko faqīr kī jab bad-duā lagī
bārish huī na phir koī manzar harā huā
dekhā hai us ke saath bhī chal kar bahut 'hasan'
lagtā hai vo hasīn agar ho rukā huā
Top Urdushayar.com