talḳhiyāñ rah jā.eñgī lafz-e-vafā rah jā.egā
darmiyāñ iḳhlās ke phir ik ḳhalā rah jā.egā
hādsāt-e-zindagī par ġhaur karnā chāhiye
chhūT jā.egā nivāla sab paḌā rah jā.egā
āñganoñ ke darmiyāñ dīvār jo uTh jā.egī
dhuup meñ apnā koī bāhar khaḌā rah jā.egā
din ke hañgāme meñ gum ho jā.egā merā vajūd
aa.ine meñ mujh sā koī dūsrā rah jā.egā
is masāfat kī kabhī takmīl mumkin hī nahīñ
aane jaane kā faqat ik silsila rah jā.egā
dekh kar makrūh sāzish gaañv kī dahlīz tak
sochtā huuñ maiñ 'nizāmī' kyā bachā rah jā.egā