pahle nazr lab-o-ruḳhsār karegī duniyā
phir tujhe bar-sar-e-paikār karegī duniyā
gesū-e-zīst ko suljhāne meñ guzreñge din
mujh se is darja agar pyaar karegī duniyā
chhoḌ degī tujhe Takrāne kī ḳhātir aur phir
dar-o-dīvār se inkār karegī duniyā
mujh ko munsif ke bhī mansab pe karegī faa.ez
jhuuT se laḌne ko tayyār karegī duniyā
mujh ko masrūf bhī rakkhegā koī kār-e-abas
vaqt-e-masraf pe ye bekār karegī duniyā
gesū-e-zulmat-e-shab mujh ko chhupā le na kahīñ
is pahle ki giraftār giregī duniyā
maiñ talabgār huuñ jiine kā 'nizāmī' lekin
jaane kab ḳhvāb se bedār karegī duniyā