junūñ ke baab meñ yuuñ ḳhud ko tumhārā kar ke
haath maltā huuñ maiñ apnā hī ḳhasāra kar ke
ab mire zehn meñ bas lazzat-e-duniyā hai ravāñ
thak chukā huuñ tirī ulfat pe guzāra kar ke
ham abhī sohbat-e-duniyā meñ haiñ masrūf magar
koī shab tum ko bhī dekheñge gavāra kar ke
ham se ḳhāmosh tabī.at bhī haiñ duniyā meñ ki jo
us ko hī chāhte haiñ us se kināra kar ke
der tak koī na thā raah batāne vaalā
aur phir le ga.ī ik mauj ishāra kar ke