vasl kī rut ho ki furqat kī fazā mujh se hai
ishq kī raah meñ sab achchhā burā mujh se hai
ye haqīqat hai ki tujh se hai mirā honā magar
bandagī merī hai so tū bhī ḳhudā mujh se hai
tū to bas chhoḌ gayā thā mere siine meñ ise
terī furqat kā magar zaḳhm harā mujh se hai
mere hī hone se taarī hai divānoñ pe junūñ
tere nazdīk bhī ye raqs-e-havā mujh se hai
varna ek tajraba-e-dīd hī kaafī hotā
merī hī aañkh magar ḳhaufzada mujh se hai
maiñ ne baḳhshā hai tujhe ye gul-e-tāza kā shabāb
ye na.ī ḳhushbueñ ye rañg nayā mujh se hai
mujh se hāsil thā tere jism ke dhāge ko kapās
kis tarah sochtā hai tū ki judā mujh se hai