Rahul Jha

ab ke bikhra to main yakja nahin ho paunga

Rahul Jha

Darbhanga, Bihar, India

1991
ab ke bikhrā to maiñ yakjā nahīñ ho pā.ūñgā
tere hāthoñ se bhī vaisā nahīñ ho pā.ūñgā
mujh ko bīmār karegī tirī aadat ik din
aur phir tujh se bhī achchhā nahīñ ho pā.ūñgā
ye to mumkin hai ki ho jā.ūñ tirā ḳhair-andesh
haañ magar is se ziyāda nahīñ ho pā.ūñgā
ab mirī zaat meñ bas ek kī gunjā.ish hai
maiñ huā dhuup to saaya nahīñ ho pā.ūñgā
yuuñ to mushkil hī bahut hai mirā haath aanā aur
haath aayā to gavāra nahīñ ho pā.ūñgā
tū baḌī der se aayā mujhe zinda karne
ab namī pā ke bhī sabza nahīñ ho pā.ūñgā
mujh meñ itnī nahīñ tāsīr masīhā.ī kī
zaḳhm bhar saktā huuñ iisā nahīñ ho pā.ūñgā
in dinoñ aql kī chaltī hai hukūmat dil pe
maiñ jo chāhūñ bhī tumhārā nahīñ ho pā.ūñgā
itnā ābād hai tujh se mire andar kā shahr
tujh se bichhḌā bhī to sahrā nahīñ ho pā.ūñgā
Top Urdushayar.com