Haseebul Hasan

na puchh usne hai kya kuchh kaha mohabbat ko

Haseebul Hasan

Saharan Chatha, Punjab, Pakistan

1995
na pūchh us ne hai kyā kuchh kahā mohabbat ko
hamāre sāmne rusvā kiyā mohabbat ko
hamāre paas duā māñgne kā vaqt nahīñ
ab aap aasrā degā ḳhudā mohabbat ko
tū mujh ko chhoḌ to phir is tarah se chhoḌ ki maiñ
galī galī meñ phirūñ kostā mohabbat ko
ham aise log hī zehnī marīz hote haiñ
jo mānte haiñ baḌā aasrā mohabbat ko
hamārī aañkh meñ utre haiñ saat rañg ke ḳhvāb
hamārā haq hai ki ham deñ duā mohabbat ko
tamām log use zindagī bulāte the
kisī kisī ne kahā hādisa mohabbat ko
tumhāre shahr meñ but the so kaam aa na sake
daraḳht hote to dete havā mohabbat ko
hamāre ba.ad koī sar-parast mil na sakā
yatīm-ḳhāne meñ rakkhā gayā mohabbat ko
'hasīb' us se yahī soch kar nahīñ milte
kahāñ vo rakkhegā ġhurbat-zada mohabbat ko
Top Urdushayar.com