samjhā koī bhī chaal na us chāl-bāz kī
karte rahe bayāñ sabhī hoñToñ kī nāzukī
dar par ḳhudā ke khīñch ke laayā thā us ko ishq
kāfir ko paḌ ga.ī thī zarūrat namāz kī
ham ne bhī ḳhud ke qatl meñ chhoḌī nahīñ kasar
us ne bhī dushmanoñ se bahut sāz-bāz kī
kānoñ kī kachchī niklī vo dīvār gaañv kī
tash.hīr kar rahī hai faqīroñ ke raaz kī
ḳhat huuñ maiñ āḳhirī kisī 'ānis-mūīn' kā
tū yaad rahne vaalī ġhazal hai 'farāz' kī