kisī parī ke ḳhayāloñ meñ raqs karte rahe
hamārī aañkh se aañsū nikal ke uḌte rahe
ham aise patte anā-zād bhī balā ke the
bahār rut meñ daraḳhtoñ se laḌ ke jhaḌte rahe
kisī ke lafz gire ābshār ke mānind
hamāre dil meñ musalsal shigāf paḌte rahe
kisī ko māñgne aa.ī thī minnatoñ se koī
ka.ī faqīr mazāroñ pe sar paTaḳhte rahe
hamārī niiñd na-jāne kahāñ bhaTaktī rahī
hamāre ḳhvāb hamāre liye taḌapte rahe
tumhāre ba.ad maiñ hañstā rahā magar yāram
tumhāre ba.ad to dushman bhī ro ke milte rahe
ab un ko log 'hasan' shesh-nāg kahte haiñ
jo ek arsa mirī āstīñ meñ palte rahe