Haseebul Hasan

hum baat tere munh pe khari karne lage hain

Haseebul Hasan

Saharan Chatha, Punjab, Pakistan

1995
ham baat tire muñh pe kharī karne lage haiñ
jā tujh ko taḳhayyul se barī karne lage haiñ
haañ raas nahīñ ham ko mohabbat kā ḳhazāna
thak-hār ke ham saudāgarī karne lage haiñ
miTTī se banāyā thā jo sāhil pe gharauñdā
kuchh bachche use bāra-darī karne lage haiñ
is vāste lahje ko badal Daalā hai ham ne
ḳhūshāb ko ham dekh mirī karne lage haiñ
muddat se taḳhayyul meñ thī jo mūrtī terī
ham ab ke use chhū ke parī karne lage haiñ
jo log nahīñ jānte miTTī kī haqīqat
vo log bhī ab kūza-garī karne lage haiñ
qurbān 'hasan' aise faqīroñ pe mirā dil
jo peḌ ke pattoñ ko darī karne lage haiñ
Top Urdushayar.com