Haseebul Hasan

ek taraf pyar to ek samt ana rakkhi hai

Haseebul Hasan

Saharan Chatha, Punjab, Pakistan

1995
ik taraf pyaar to ik samt anā rakkhī hai
husn vāloñ ne 'hasan' kaisī sazā rakkhī hai
us kī yādoñ ke gulistāñ ko harā rakhnā hai
ik nadī aañkh se ashkoñ kī bahā rakkhī hai
raushnī terī bhī vaq.at hai hamāre dam se
ham añdheroñ ne tirī shaan baḌhā rakkhī hai
mujh ko hai ilm tū rātoñ meñ kahāñ jaatā hai
āj-kal maiñ ne sitāroñ se banā rakkhī hai
ḳhūn-e-sādāt ne miTTī ko fazīlat baḳhshī
ḳhaak meñ bhī mire maulā ne shifā rakkhī hai
us kī ḳhvāhish hai añdheroñ meñ bhaTaktā hī rahūñ
maiñ diyā laayā huuñ aur us ne havā rakkhī hai
itnā qātil bhī nahīñ husn tirā hosh meñ rah
in chhichhoroñ ne to be-par kī uḌā rakkhī hai
vasl ke lamhoñ ko mahsūr kiyā hai sāhab
maiñ ne is baar ghaḌī pīchhe ghumā rakkhī hai
ḳhud maze se maiñ tumheñ soch rahā huuñ hamdam
aur bistar pe faqat niiñd sulā rakkhī hai
Top Urdushayar.com