sabhī mai-kash tavāzun kho rahe haiñ
ḳhudā se be-takalluf ho rahe haiñ
kisī kī aañkh banjar ho ga.ī hai
kisī ke ashk bartan dho rahe haiñ
kahīñ par sog vājib ho rahā hai
kisī ke farz puure ho rahe haiñ
hameñ dhoka milā dhoka hī deñge
jo kaaTā hai vo aage bo rahe haiñ
bahut parhez bartā jā rahā hai
mire zaḳhmoñ ko nāḳhun ro rahe haiñ