jo tirī shakl ko mahtāb nahīñ kah sakte
vo mirī aañkh ko tālāb nahīñ kah sakte
sach meñ kamzor hai bīnā.ī hamārī lekin
ret ke zarre ko sīmāb nahīñ kah sakte
ham haiñ ausāf pe me.aar parakhne vaale
is liye kavve ko surḳhāb nahīñ kah sakte
kam se kam aap to rakh liije bharam yaarī kā
vo to dushman haiñ nā ādāb nahīñ kah sakte
tere va.adoñ kī zamānat nahīñ detā koī
thal ke sahrā ko to shādāb nahīñ kah sakte
gar tū momin hai to chehre pe kahīñ nuur bhī ho
ham kisī daaġh ko mehrāb nahīñ kah sakte
laakh mīThe hoñ tire shahr ke chashme lekin
ham tire shahr ko ḳhūshāb nahīñ kah sakte