tīrgī meñ jal uThnā chāñdnī meñ kho jaanā
kis tarah huā mumkin pāniyoñ pe so jaanā
umr-bhar kī chāhat kā ek hī sila paayā
dard ne hameñ samjhā ham ne dard ko jaanā
ek rañg apnā hai rāt-rut kī chhāñv meñ
chāñdnī bhī aa.egī tum bhī aa ke ro jaanā
bādaloñ ke saa.e meñ ye to un kī aadat hai
jis ke sar pe sūraj ho us ke saath ho jaanā